Madani Syllabus

Fundamental Teachings of Islam 4 Hamd Bari Ta’ala Tū ĥī Mālik-e-baḥr-o-bar ĥay Yā Allahu Yā Allah Tū ĥī Khāliq-e-jinn-o-bashar ĥay Yā Allahu Yā Allah Tū Abadī ĥay Tū Azalī ĥay Tayrā nām ‘Alīm-o-‘Alī ĥay Żāt Tayrī sab say bar-tar ĥay Yā Allahu Yā Allah Waṣf bayān kartay ĥayn sāray sang-o-shajar aur chānd sitāray Tasbīḥ ĥar khushk-o-tar ĥay Yā Allahu Yā Allah Tayrā charchā galī galī ĥay ḋālī ḋālī kalī kalī ĥay Wāṣif ĥar aīk pĥūl-o-šamar ĥay Yā Allahu Yā Allah Khalqat jab pānī ko tar-say rim jĥim rim jĥim barkĥā bar-say Ĥar aīk par Raḥmat kī naẓar ĥay Yā Allahu Yā Allah Rāt nay jab sar apnā cĥupāyā chiřyaun nay yeĥ żikr sunāyā Naghmaĥ bār nasīm-e-saḥar ĥay Yā Allahu Yā Allah Bakhsh day Tū ‘Aṭṭār ko Maulā wāsiṭaĥ Tujĥ ko us piyāray kā Jo kaĥ Nabiyaun kā Sarwar ĥay Yā Allahu Yā Allah (Wasāil-e-Bakhshish, pp. 42) www.dawateislami.net

RkJQdWJsaXNoZXIy NTM5MzE=